Results 1 to 5 of 5

**kuch wazaif** (must read)

This is a discussion on **kuch wazaif** (must read) within the Zaarori Maloomat forums, part of the Mera Deen Islam category; kuch wazaif jo mujhe kahin se mile hain isliye share kar raha hoon........ Agar bacha rota ho aur khana na ...

 1. #1
  I*_*I *Muaavia*I*_*I ttsadaf's Avatar
  Join Date
  Aug 2009
  Location
  dubai
  Posts
  5,610

  **kuch wazaif** (must read)

  kuch wazaif jo mujhe kahin se mile hain
  isliye share kar raha hoon........


  Agar bacha rota ho aur khana na khata ho

  Bacha buhat rota ho ya khana na khaata ho yaa doodh na pita ho to thora sa pani ya doodh glass mei le ker isha ki namaz k baad

  "Yaa Allahuu Yaa Muhaiminuu Yaa Qahharuu" ......


  Dozakh se hifazat

  Jo shakhs fajr aur asar ki namaz k baad 7 martaba is dua ko parh le to dozakh dua kare ise mujh se bacha

  "Allahumma Ajirni' minan naar" ........


  ager moun mein chhaale par gaye hon

  Ager kisi k moun mei chale pargaye hon ya badan mei phansiyan hojayen to Sura Duhaa 41 times parh ker sugar per dam kar k chabaale inshallah raahat hojayegi .......

  Dunia mei faqa se bachao k liye

  "La ilaha illallaahul malikul haqul mubeen"

  jo koi shakhs subah shaam 100 100 bar is dua ko parh le dunia mei faqa na ho qaber mein wehshat na ho aur hashar mei ghabrahat se mehfooz rahe ga


  "Yaa Maaliku"

  Jo shakhs 90 bar rozana in kalmaat ko parhe ga ghurbat se nijaat paa ker maaldar hojaye ga


  "Yaa Wahabuu"

  Jo shakhs chasht ki namaz k akhri sajde mei 40 bar is ko parhe ga woh faqr o faqa se nijaat paye ga.......


  Agar qaidi rihayi chahta ho

  Ager koi Qaidi rihayi chahta hoo to rozaana Surah Jin padh liya kare inshallah baa'izzat bari hojaye ga .......


  Nazar Kabhi kamzor na hogi

  Jo shakhs wuzu karne k baad Aasman ki taraf dekh k Surah Qadr padh le inshallah us ki nazar kamzor na hogi .......

  Shaitaan k shar se mehfooz rahe ga

  "Huu Wallaahurraheem"

  jo har namaz k baad in kalmat ko 7 bar parh le ga shaitan k shar se mehfooz rahe ga
  .......


  Safer ki thakan door karne k liye

  "Yaa Quddoosu"

  Jo shakhs dauran-e-safer wird karta rahe gasafer ki thakan se mehfoo rahe ga
  ......


  Sehat k liye

  1- "Yaa Salaamuu"

  Yeh kalmaat 111 bar padh ker mareez per dam karne se shifa naseeb hogi

  2- "Yaa Maajiduu"

  Jo shakhs in kalmaat ko 10 bar padh ker sharbat per dam kar pii le wo bimaar na hoga

  3- "Yaa Allahu"

  Jo Laa ilaaj mareez in kalmaat ko rozana 313 bar padhe ga iska marz khatam hojaye ga

  4- Har kisam ki bimari takleef k liye jo shakhs 7 bar sura Fatiha parh k 111 bar "Yaa Salaamuu" padhe awal aakhir duroood-e-pak padh k mareez per dam karde aur paani per dam kar k wahi pani mareez ko pilaaye inshallah shifa hogi yeh amal din mein ek baar aur ziada ki koi had nahi

  Har wazeefe k liye awal akhir 11 11 bar durood shareef zaroor parh len jitne bhi wazeefe yahan diye jayen .....


  Ranj-o-ghum door karne k liye

  "Yaa Muhaiminuu"

  Jo shakhs 29 bar rozana in kalmaat ko padh le uska ghum door hojaye ga

  "Al Ghafooru"

  Jo shakhs is ism ko 313 bar parhe ga us ki tamam takaaleef aur ranj-0-ghum door honge inshallah
  .......


  Martaba mei bulandi k liye

  "Al Aliyu"

  Jo shakhs is ism ko 313 bar rozana padhe ga buland martaba aur khushhali naseeb hogiii
  ....


  Rozee mein aisi barkat k aap tasawwur na karpayen

  1- "Ya Zal fadlil Azeem Salli ala fadlikal azeem wa'aalihi wasahbihi wabaarik wasalim tafaddal alaina be fadleekal azeem"
  her namaz k baad 20 bar in kalmaat ko padhen rozee mein barkat hogii

  2- "SubhanAllahi wabihamdihi subhanAllahil Azeem"

  Jo shakhs 100 martaba rozana fajr ki namaz k baad in kalmaat ko padh le ga Allah taa'la us ko itna rizk ata farmaye ga k jaga na hogi

  3- "Al Azizu"

  Jo shakhs 40 din tak 40 bar is ism ko padhe ga Allah us ko muazziz aur ghani karde ga
  ........


  Gunaahon ki aadat chhurwane k liye

  1- "Yaa Mo'minuu"

  Rozana pabandi k saath 111 bar in kalmaat ko padhe aur sote waqt "Yaa Muhaiminuu" parhte hue sojayen

  2- "Yaa Hameedu"


  jis shakhs ki ****i baato ki aadat naa jati ho wo in kalmaat ko 90 bar parh k paani per dam kar k paani piye is ki faahashgoi ki aadat nikal jaye gi

  3- "Yaa Fattaahuu"

  jo shakhs rozana fajr ki namaz k baad doono haath seene per rakh ker in kalmaat ko 70 bar padhe ga us k dil ka zang door hoga .....


  Sharaab noshi zinakari badkaari mei giriftar ho

  "Al barro"

  Sharaab noshi zinakari badkaari mei giriftar ho rozana 7 bar is ism pak ko padh le inshallah gunaahon ki aadat chhoot jaye gi
  .....


  Bawaseer ki takleef khatam karne k liye

  Ager kissi ko bawaseer ki takleef ho to fajr ki 2 sunnaton mei pehli raka't mei 'Alam nashrah' aur doosri raka't mei Sura feel padhe takleef door hogi inshallah .......

  Jinnat ko dafa karna ho to

  Jis makaan mei jinnat ka shuba ho ya kissi insan per jinnat ka asar ho to Surah Fatiha, Ayatul Kursi aur Sura Jin ki shuru ki 5 ayaat padh ker dam kar k chhirak den jinnat chale jayen ge .....

  apne auhde per bahaal hone k liye

  "Yaa Kabiro"

  Jo shakhs apne auhde se maazoool hogaya ho woh 7 roze rakhe aur rozana 1000 bar is ism ko padhe woh apne auhde per bahaal hojayega
  ....


  Dunia ki mohabbat se nijaat k liye

  "AlQahharo"

  Jo shakhs dunia ki mohabbat mei giriftar ho to is ism ko 313 bar padhe dunia ki mohabbat dil se door hojaye gi .....


  Aulad ki nek naami k liye

  "Yaa Mateeno"

  Jo shakhs her namaz k baad 100 ar is ism ko padhe us ki aulad nek hojayegi
  .......


  Biwi ya Shohar naraz hojaye to yeh padhen

  1- "Yaa Maneo"

  Ager biwi naraz ho to shohar aur agar shohar naraz ho to biwi sone se pehle bister per beth ker 20 bar in kalmaat ko parhe sulah hojayegi

  2- "Yaa Awwalo"

  Jo shakhs 100 bar in kalmaat ko padh le us ki zoja s se mohabbat karegi

  3- "Ya Wadoodo"

  Jo shakhs 1000 bar is ism ko padh ker khaane per dam karega aur biwi k saath beth ker khaaye ga to miyan biwi ka jhagra khatam hojaye ga aur bahmi mohabbat peda hojayegi

  4- "al Waliyuu"

  Jo shakhs apni biwi ki buri adaton aur khaslaton se khush na ho biwi jab is k saamne aye woh is ism ko padhe woh nek khaslat hojayegi
  ....


  Her kism k dard ko door karne k liye

  "Ya Ghaniyu"

  Chalte phirte uthte bethte in kalmaat ko padhne se reerhh ki haddi ghutnon aur joron aur jism ka dard jata rahe ga

  "Ya Mughniyuu"

  1 bar in kalmaat ko padh ker haathon per dam kar k dard ki jaga malne se sukoon hoga

  "ya Muhyiii"

  jo shakhs 7 bar in kalmat ko parh ker seene per dam kare us ko gas ki bimari se afaqa hoga
  ....


  Zaalim se peechha churane k liye

  "Yaa Raufu"

  Jo shakhs 10 bar in kalmaat ko padh ker zaalim se baat kare woh zaalim us ki sifaarish qubool kare ga .....

  "Yaa Qadiru"

  Jo shakhs in kalmaat ko dauran-e-wuzu her uzv ko dhote hue padhne ka ma'mool bana le dushman us ko aghwa nahi kar sake ga

  "Al Jabbaru"

  Jo shakhs rozana subah shaam 226 bar is ism ko padhega woh zaalimon k zulm o qehar se mehfooz rahe ga
  .....


  Mushkil Asaan karne k liye

  "Yaa Qadiru"

  Jo shakhs mushkil k waqt 41 bar in kalmaat ko padhle mushkil asaan hojayegi

  "Yaa Muhaiminu"

  Jo shakhs rozana 29 bar in kalmaat ko padhe ga woh her aafat o bala se mehfooz rahe ga
  .....


  Tanhai mein dar lagta ho to

  "Yaa Wahiduu"

  Jo shakhs in kalmaat ko 1001 (aik hazar aik) bar tanhai mei padh le to us k dil se khauf jata rahega...


  "Al Mo'minu"

  Jo shakhs kissi khauf k waqt is ism ko 630 bar padhe to her khauf aur nuqsan se mehfooz rahe ga
  ....

  Ghussa door karne k liye

  "Yaa Raufu"

  Jo 10 bar durood shareef aur 10 bar is ism ko padhe to uska ghussa rafa hojaye ga aur ager doosre ghazabnaak shakhs per dam kare to us ka ghussa bhi rafa' hojaye ga........  Jis aurat k khawind ko ghussa ata ho to jab bhi shohar ko paani de 20 bar Bismillah parh ker paani per dam kar k pilaaye ghussa khatam hojaye ga
  ......

  Jaduu se hifazat k liye

  "Yaa Mumeeto"

  Jo shakhs 7 bar rozana in kalmaat ko padh ker apne uper dam karlega us per jaduu asar nahi karega
  ........


  bacha baaligh hone tak hifazat mein

  "Al barro"

  Jo shakhs apne bache per peda hone k baad hi 7 bar is ism ko parh ker bache per dam kare aur Allah k supurd kar de to Allah taa'la us bache ko baaligh hone tak tamam aafaton se mehfooz rakhe ga
  .......


  Makhlooq ki mohtaji se bachne k liye

  "Yaa Hakeemo"

  Jo shakhs in kalmaat ko rozana 80 bar parh le woh Allah taa'la k siwa kisi ka mohtaj na hoga
  ...


  Shaitaani waswason se nijat k liye

  "Al Muqsitu"

  Jo shakhs rozana is ism ko 313 bar parhe ga woh shaitaani waswason se mehfooz rahe ga
  ...


  Maal ko chori se mehfooz rakhne k liye

  "Yaa Jaleelo"

  Jo shakhs in kalmat ko 10 bar parh ker maal ya raqam per dam karde woh maal chori se mehfooz rahe ga
  .....


  hisaar bandhne ka tareeqa

  awwal akhir 11 bar durood shareef parhen darmiyan mei 11 bar ayatu kursi parhen yeh amal 24 ghante mei ek bar karen

  jo koi rozana hisaar bandh le ga her haadse, daketi aur dushman ki nigaah se ojhal rahega
  ...


  Ibadat mein dil na lagta ho to

  "Yaa Allahu Yaa Ghaffaru Yaa Qadiru"

  Jo shakhs 121 bar in kalmat ko pare awal o akhir 11 bar durood shareef k saath to us ka ibadat mein dil lag jaye ga
  ...


  bete k liye

  "Yaa mutakabbiru"

  jo shakhs apni zoja se milaap se pehle 10 bar in kalmaat ko padh le ga us k han nek beta peda hoga

  "Yaa Bariyu"

  Jo shakhs her jumme ko 10 bar in kalmat ko padhe ga us ko beta ata hoga
  .......


  Aulad k husool k liye

  "Yaa Khaaliqu Yaa Bariyu Yaa Musawwiru"

  Be aulad aurat is tarah amal kare k 7 roze rakhe aur her roz iftar k waqt in teen naamon ko 21 bar padh ker aik glass paani per dam kare aur us paani se iftar kare to use aulad haasil hogi.....


  Dua ki qubooliat k liye

  "Yaa Wahabu"

  Jo shakhs rozana 7 bar in kalmaat ko padhe ga us ki her dua qubool hogi...


  "Yaa Rafe'o"

  Jo shakhs rozana 20 bar in kalmaat ko padhega us ki her dua qubool hogi....

  "Yaa Samee'o"

  Jo shakhs rozana in kalmaat ko 100 bar padhe ga aur padhne k dauran guftugoo na kare ga phir jo dua maange ga qubool hogi....

  "Yaa Khafidu"

  Jo shakhs rozana 500 bar is ism ko padhega us ki duayen qubool hongi.....

  Larkion ki shadi k liye wazeefa

  "Yaa Lateefu"

  Larki k waleden ya sarparast isha ki namaz k baad 150 bar in kalmaat ko parhen awwal aakhir durood shareef parhen jab tak shaadi na ho is ka wird rakhen
  .....


  agar sar k baal girte hon

  "Yaa Allahu Yaa Baariyu Yaa Kabeeru"

  agar sar k baal girte hon to her namaz k baad 313 bar in kalmaat ko padh ker baalon per dam karlen
  .......


  agar chehra be ronak hojaye

  "Yaa Allahu Yaa Musawwiru Yaa Maaliku"

  agar chehra be ronak aur siyah hojaye ya chehre ka rang siyahi maa'il hojaye to her namaz k baad in kalmaat ko 111 bar parh kar hathon per dam kar k chehre per pher den inshallah buhat fayeda hoga.....


  dua mein zaroor yaad rakhiega mujhe.......
  M.A Samad and family......
  please click if u like my post" in the right side of post


  کوئی منصف ہو تو انصاف کا چہرہ دمکے
  کوئی عادل ہو تو زنجیر ہلائی جائے 2. #2
  Member neeli's Avatar
  Join Date
  Jan 2010
  Location
  pakistan
  Age
  22
  Posts
  6,225

  Re: **kuch wazaif** (must read)

  NICE SHARING

 3. #3
  Senior Student
  Join Date
  Jun 2009
  Posts
  277

  Re: **kuch wazaif** (must read)

  Allah pak aap ko jaza-e-khair ata farmaye. Aameen

 4. #4
  I*_*I *Muaavia*I*_*I ttsadaf's Avatar
  Join Date
  Aug 2009
  Location
  dubai
  Posts
  5,610

  Re: **kuch wazaif** (must read)

  Quote Originally Posted by neeli View Post
  NICE SHARING
  pasand karne ka shukriya neeli.......
  please click if u like my post" in the right side of post


  کوئی منصف ہو تو انصاف کا چہرہ دمکے
  کوئی عادل ہو تو زنجیر ہلائی جائے 5. #5
  I*_*I *Muaavia*I*_*I ttsadaf's Avatar
  Join Date
  Aug 2009
  Location
  dubai
  Posts
  5,610

  Re: **kuch wazaif** (must read)

  Quote Originally Posted by adilawan View Post
  Allah pak aap ko jaza-e-khair ata farmaye. Aameen
  allah aapko bhi jaza-e-khair ata kare.......
  aameen.....
  please click if u like my post" in the right side of post


  کوئی منصف ہو تو انصاف کا چہرہ دمکے
  کوئی عادل ہو تو زنجیر ہلائی جائے
Similar Threads

 1. Replies: 6
  Last Post: 19th June 2010, 07:03 PM
 2. ~*!SHAB-E-QADAR!*~(Ebadat o wazaif)
  By SUFYANWARIS in forum Ramzan kareem
  Replies: 7
  Last Post: 19th September 2009, 02:45 AM
 3. ~*~Dukh, Dard Aur Museebat kay Wazaif~*~
  By Wafa in forum Zaarori Maloomat
  Replies: 13
  Last Post: 12th March 2009, 10:19 PM

Tags for this Thread

Posting Permissions

 • You may not post new threads
 • You may not post replies
 • You may not post attachments
 • You may not edit your posts
 •