ASSALAM O ALAIKUM
Aik baar aisa huva k hamari aik jan ne wali ne hamain bohat israr k saath apne gher da3wat per bulaya , jab hum da3wat main puhanchay tou kuch daer baad andaza huva k wahan tou salgira ka samaan hay ,buhat afsos huva k unhon ne hamain dhokay se bula liya hay .baherhaal koshish ker k hum jald hi gher lot aaye .hamain afsos tou buhat huva aur saath main Allah ta'aala se is hadeese mubarika ki bina per bakhshish k bhi ummeedwaar the . Hadeese mubarika ye hay: "Hazrat urs bin umaira kindi(raziAllahu anhu )se riwayat hay k jub zameen main koi gunah kiya jata hay tou jis ne issay dekha aur bura samjha, woh gunah k wabaal se us shakhs ki terha mahfooz rahay ga jo gunah ki jagah per moujood na tha aur woh shakhs jo us gunah ki jagah moujood na tha lekin iss gunah k hone ko bura na samjha, woh us gunah k wabaal main us shakhs ki terha shareek rahay ga jo gunah ki jagah per moujood tha (Abu Dawood :Hadees 4345)(aw kama qaala )achaanak hi hamain iska aik buhat hi khoobsurat hul mil gaya .Aisa huva k hamare walid ne hamain bataya tha k jo shakhs kisi aisi jaga moujood ho jahan shetani mosiqi ya fitna fasad achanak shuru ho jaye tou forun kum az kum waqt main ayat e kareema perh ker us mosiqi chalane walay ya koi bhi jo is terha ki na fermani ker raha ho ussay sawab bakhsh ker us k liye Allah ta'ala se hidayat ki dua mangain tou wo awazain khatam ho jain gi aur doosra amal ye bataya tha k is jaga saat(7) baar durood shareef,saat(7) baar soorah fatiha aur saat saat baar chaar(4) qul aur saat(7) baar ayatul kursi perh ker apne ird gird phoonk lain aap k hotay huvay wo aawazain aur larai bund ho jaye gi(inshaAllah)Alhamdulillah hum ne issay kaye baar aazmaya hay aur her baar mujarrub paya hay kyun k Allah ta'ala ka kalam berhaq hay in main se chund waqiaat ye hain.yaqeenun is se aap k imaan main izafa hoga.akser auwqaat gher k sehan main baithtay tou aas paas k gharon se shaitani ganay shuru ho jatay tou hum sub gher walay apna kaam chor ker pehlay ye amal kertay tou woh aawazain 5 minute k ander ander bund ho jatin .Aik dafa bazar se hamaray bhai ko koi cheez khareedni thi wahan sound system ki dukaanain thin jahan gari park ki thi Alhamdulillah !abhi adha amal hi kia tha k awazain ana bund ho gain .Isi terha shadi main dhol ki achanak awazain ana shuru hovin wahan bhi is amal se bund ho gaya.Iska matlab ye nahin k jan boojh ker aisi mehfil main jaya jaye jahan pehle se pata ho k yahan ghair shar3ai kaam hon gay ye tou wahan hay jahan achanak uftaad aa toot peray . Allah ta'ala hum sab ko seedhay raaste per chalne ki towfeeq ata fermain(aameen) (az bachon ka islam bint e muhammad abu Bakar)
Bookmarks