Na Chmistry hoti na main Student hota
Na yeah Lab hoti Na Yeah Accident Hota
Abhi Practical main ayee nazar Ek Larki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi
Batoon main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sansoon main Eter ki Khushboo bhi sath thi
Ankhoon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Payar
Bin Piye hi ho jata Tha Alcohol ka Khumar
Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsas
Andhere main hota tha Radium ka Abhas
Nazrain milien, reaction huwa
Kuch is tarah Love ka Production huwa
Lagne lagay Us ke Ghar ke Chakar aisay
Nucleus ke charon taraf Electron hoon jaisay
Us din hamaray Test ka Confirmation huwa
Jab us ke dady se hamara Introduction huwa
Sun kar hamari baat wo aisay Uchal pare
Ignesium Tube main jaise Sodium Bharak uthe
Wo bole, Hosh main aao, Pahchano apni Auwqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath
Ye sun ker Tuta hamaray Armanoon Bhara Beaker
Aur hum Chup rahay Benzeldehyde ka Karwa Ghoont pee ker
Ab us ki yadoon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamaray Dil ke siwa kuch jalta na tha
Zindagi ho gaye Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur hum phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah.
Bookmarks