mujh ko utaar harf mein, jaan-e-ghazal bana mujhay
meri hi baat mujh se kar, mera kaha suna mujhe
rakhsh-e-abad kharam ki thamti nahin hain bijliyan
subah-e-azal nasad se karna hai mashwara mujhe
loh-e-jahan se peshtar likha tha kya naseeb mein
kaisi thi meri zindagi, kuch to chale pata mujhe
kaise ho’n khawab aankh mein, kaisa khayal dil mein ho
khud hi har eik baat ka karna tha faisla mujhe
khud se ik sawal mein din hi guzar gaya mera
tu ha ke ab nahi hai tu bas yeh zara bata mujhe
hai pul siraat-e-waqt se kaise guzarna ab mujhe
waise to de gaye sabhi jaate hue dua mujhe
mera safar mera hi tha uthte kisi ke kya qadam
apne liye tha khojna apna hi naqsh-e-pa mujhe
lagta hai chal rahi hu’n main rooh-e-tamam ki taraf
jaisi thi ibteda mujhe waisi hai inteha mujhay
Bookmarks