Aksar sochta hun mai
tumne akhir mujhe kis tarah bhulaya hoga
sapno.n ke us khoobsoorat shahr ko kahan dafnaya hoga
jahan hoti thi
tum...mai our ummeedo.n ki akashgangaye.n
pal bhar ki meri khamoshi
our chounk jana tumhara
mujhe choo kr kasame.n khana....
aksar sochta hun mai aek aek kasam ne
apne tootne se pahle tumhe kitna rulaaya hoga......
aksar sochta hun mai
tumhare khamosh ahsaas ne kya sawal kiya hoga
chote bache ki tarah sahma sahma sa shayd ro diya hoga
aksar sochta hun mai
sabkuch kho kar tumne akhir kya paya hoga
aksar sochta hun mai
tumne akhir mujhe kis tarah bhulaya hoga
written on Kenza / Persian gulf march 2013
"kumar praveen"
Bookmarks