Diyar_e_gair se kaise thuje sada dete
Tu mil bhi jata to akhir tujhe gawan dete
tumhi ne humko sunaya na apna dukh,warna
dua woh karte keh hum asmaa hila dete
humein yeh zuam raha,ab k woh pukarenge
unhen yeh zid thi keh har bar hum sada dete
tumhen bhulana hi awal to dustaras mein nahi
jo ikhtiar bhi hota to kya bhula dete
hum apne bachon se kaise kahen k yeh guriya
humare bas mein jo hota to hum dila dete
tumhari yaad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
khamoshi unki mere waste kayamat thi
woh kuch na kehte,magar hont to hila dete
ab aye hain meri turbat pe fatiha parhne
nikal raha tha mera dam jinhe sada dete
woh tera gham tha k taseer mere lehje ki
keh jis ko haal sunate usse rula dete
Bookmarks