"bahot din hue................
bahot din hue usne poocha tha mujhse
kabhi chand taron ke par chalenge...
bahot din hue usne poocha tha mujhse
sitaron se aage jahan koun sa hai ..?
bahot din hue usne poocha tha mujhse
is pyar ki koun si kahkash.n (galexy)hai?
bahot din hue usne poocha tha mujhse
"mujhe chor doge to kya rah sakoge"..?
n mai ji sakungi n tum mar sakoge
jo mai n rahi to kya chal sakoge...?
bahot din hue saneha(accident) ek hua hai
wo chandi ka tukda falak par ja chupa hai
bahot din hue wo ab bulati nahi hai
n kuch poochti hai muskarati nahi hai
wo jane se pahle kah kar gayi thi
jara gham n karna pareesha.n n hona
khuda ke liye khud ko masroof rakhna
meri yad ko ja.n me mahfooz rakhna
mai jaldi hi lautungi fir se milungi
nayi faslo.n me fir se khilungi
mujhe meri najro.n se fir jan loge
fakat rooh ki khushboo se pahchan loge
Aur ab.......
barso.n kaate hai.n sadiyon se maine
aek unra(age) umra bhar jagte hi kati hai
wo chandi sa chehra gangajal si aankh.n
khudaya miri rooh se kab hati hai.n
bahot din hue kya bayaba.n kya sahra
samandar samandar roundta ja raha hu.n
yahan se wahan tak jaha.n tak bhi tu hai..
tujhe dhoondhta hun / dhoonta ja raha hu.n
bahot din hue usne poocha tha mujhse ......
Kabhi chand taton ke paar chalenge.....
kumar praveen
one sad evening in Cyprusirina.jpg
Bookmarks