Udas hony se darta hon
juda hony se darta hon

meri ankhain btati hain ky
main sony se darta hon

meri ungli pakr lana
mujhy tanha nahin krna

ye duniya ik mela hy
tumhain khony se darta hon

jo hansta hon to kyun palkon k goshy
bheg jaty hain

tumhain malom hy
main is tarah rony se darta hon

ye jbse khuwab dakha hai
mujhy tum chor jao gy

main ab darta hon khuwabon se
MAIN AB SONY SE DARTA HON