Results 1 to 2 of 2

mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan

This is a discussion on mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan within the Shair o Shayri forums, part of the Urdu Poetry category; mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan jaisay mahtab ko be-ant samander chahay jaisay sooraj ki kiran seep ...

  1. #1
    It Graphic Designer abida15's Avatar
    Join Date
    Aug 2010
    Location
    pakistan
    Posts
    15,459

    lol mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan

    mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
    jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
    jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
    jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
    jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
    jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
    jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
    jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
    mera har khaab meray such ki gawahi de ga
    wus’at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
    meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
    mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
    khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
    noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
    teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
    toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
    mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
    meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
    mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
    teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
    tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
    meray khamosh khayaloan mai takallum tera
    raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
    meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
    tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
    meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
    teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
    chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
    tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
    aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
    tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
    mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
    tu nay uss moar pay tora hai ta’alluq keh jahan
    dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
    abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
    yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
    mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
    teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
    yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
    jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
    jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
    mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!

    77164_138563129527315_100001208851145_210123_6940699_n.jpg




    You can do what you have to do,
    and sometimes you can do it
    even better than you think
    you can

  2. #2
    Space Above and Beyond Abdullah's Avatar
    Join Date
    Jun 2010
    Location
    Middle East
    Posts
    8,008
    Blog Entries
    8

    Re: mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan

    Bohat Khoob
    share karne ka shukriya

Similar Threads

  1. Maine Tujhe Chaha..!
    By Rajkumari in forum Shair o Shayri
    Replies: 11
    Last Post: 27th May 2011, 11:45 PM
  2. Mein ne dekha hai tujhe
    By Mavi in forum Islamic Audios
    Replies: 1
    Last Post: 2nd October 2010, 06:29 AM
  3. Dastras Mein Nahi Halaat Tujhe Kya Maloom,
    By sirf aaj in forum Shair o Shayri
    Replies: 0
    Last Post: 25th July 2010, 12:26 PM
  4. Tujhe Kya Kahon Mein Aye Zindagi
    By *Faraz* in forum Shair o Shayri
    Replies: 7
    Last Post: 19th June 2010, 07:32 PM
  5. dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
    By EAGLE EYE in forum Shair o Shayri
    Replies: 2
    Last Post: 7th April 2010, 07:24 PM

Tags for this Thread

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •