Yeh maira tujh say waada hai
Ki jab tak is jahan main Aik bhi zee-rooh baqi hai
Wo jab tak sans laita hai
Wo jab tak soch sakta hai
Or jab tak her khushi aur fikr ko mehsooos karta hai
Yeh maira tujh say wa'ada hai
Ki jab tak gulistan main Aakhri jo phool khilna hai
Rahay ga shakh per jab tak Mehak phaila-aye ga apni
Zameen say aasmanoon tak Falak k aakhri taray ko Jab tak jagmagana hai
Ki jab tak lehlahatay khaitoon ko zindagi k kaam aana hai
Ki jab tak hath is qabil hain K uthain dua'on ko
Ki jab tak aakhri baadal ko Dharti per barasna hai
Ki jab tak is zameen per zehar ka taryaq mumkin hai
Yeh mayra tujh say wada hai
Ki jab tak jism hai Or jism main ya jaa'n baqi hai
Ki jab tak is zameen per Aik bhi insaan baqi hai
Hazaroon meel lambay faslay bhi beech main ayin To
Mayri justujo in say kabhi baydam nahin ho gi
Mohabbat kum nahin ho gi...
Bookmarks