meri zindagi bhi meri nahin
ye hazaar khano main bant gayi
mujhe ek mutthi zameen de
ye zameen kitni simat gayi
teri yaad aaye tu chup rahon
jo chup rahon tu ghazal kahon
ye ajeeb aag ki bel jo
mere tan badan se lipat gayi
mujhe likhne waala likhe bhi kiya
mujhe parhne waala parhe bhi kiya
jahan mera naam likha gaya
wahin roshni ulat gayi
na koi khushi na malaal he
k sabhi ka ek hi haal he
tere sukh k din bhi guzar gaye
mere gham ki raat bhi kat gayi
Bookmarks