Aoa meray dosto,
umeed hay ap sub kheryat say hongay.lejeye aj hum apna ccna ka pehla topic start kurtay hay.ghur say pareye ga.bahut faida hoga
CCNA ka jo lafuz hay is may N bahut ahum hay.our is ka mutlub hay Network.so what is network?
Network 2 ya 2 say zayada devices kay durmeyan connectivity hay take wo apus may communicate kur sake.OR
connectivity between two or more than two devices so that they can communcate with each other OR so that they can exchange the information.keya mutlub network kub mukamul ho ga hamara.
pehlay jub hamaray pass connectivity ho.our dosra communication ho
tub hamara network complete hota hay.otherwise incomplete
Ub ghur say sunay.c
connectivity kay leye hamare pass kise hardware ka hona zarore hay.
our communication kay leye kese software ka hona zarore hay.right
connectivity is because of hardware and communication is because of software.
ub hamara network jo hay wo hardware our software ka collection hota hay.right.
Aik mesal day ta hoon.....
Ap meray dost hay.ap kay sat apna haat melata hoon sirf.ye hamare connectivity ho gaye.kis tara yane media keya hay? hamary haat.
ub jub tuk hum aik dosray say hi ho nahe karengay.network incomplete rahe ga our communication nahe hoge.our network may ultimate goal jo hota hay wo hote hay communication.
right.umeed hay yaha tuk samuj aya hoga.
Ub ye ta network
Communication hamare pass 2 types ke hote hay
1)Connection oriented communication Reliable
jis ke acknowledgement hamay wasool hote hay
And
2)Connetion less communication unreliable
jis ke acknowledgement hame wasoo nahe hote.
right
yane acknowledgement ka ye mutlub hay kay may ap kay sat karobar kurta hoon.ub ap peshware may hay our may lahore may hooon.
May ap ko aik saman say bara truck send kur dayta hoon.ap is ko wasool kur lay tay hay our aik message send kur day tay hay muje wapus kay jee surkar truck ponch geya.ye hay acknowledgement.umeed hay mera point samuj gaye hongay ap.
Ub May ap ko Cisco jo kay aik multinational company hay.our pore dunya may is kay 87% shares shay.king hay networking ke dunya ka.us kay jo courses hay wo kis tara turteeb deye hoye hay.
dekay is ko.pehlay pehlay ap ccna purtay hay.networking ka tora sa taruf hota hay.
CCNA
CCNP CCIP CCSP CCVP
CCIE(routing and switching) CCIE( Security),CCIE(service provider)
CCNA ka mutlub hay Cisco certified network associate
ccnp ka mutlub hay cisco certified network professional
ccie ka mutlub hay cisco certified internetwork expert(our ye cisco ke ph.d hay.surely keh raha hoon.kyonkay aik murtaba ap ccie ho gaye ap ke zindage bun gaye.
ub tuk dynya may taqrebun 25000 kay kareeb ccies hay
pakistan may ub tuk 70 kay qareeb ccies hay.
CCIE ka lab bahut ahum hota hay.
any how hum apnay asle topic ke taruf ayengay
to hum bat kar rahay tay network kay bare may.
ap kay computer say jo components attach hote hay yane mouse keyboared printer waghera ya ap kay pripherals hay.network nahe bana ta ye components.right.
ye ta hamara aj ka network ka topic
kul inshallah may OSI model shoro karonga.kay inshallah sare zindage ap ko
osi model yaad rahe ga inshalalh
ub muje ijazat de jeye.Allah hafiz
regards
Mujeeb ur Rehman khattak
CCIE
Bookmarks