Entries with no category
Originally Posted by PRAVEEN KUMAR TYAGI bahot din hue................ bahot din hue usne poocha tha mujhse kabhi chand taron ke par chalenge... bahot din hue usne poocha tha mujhse sitaron se aage jahan koun sa hai ..? bahot din hue usne poocha tha mujhse is pyar ki koun si kahkash.n (galexy)hai? bahot din hue usne poocha tha mujhse "mujhe chor doge to kya rah sakoge"..? n mai ji sakungi n tum mar sakoge jo mai n rahi to kya chal sakoge...? ...
Originally Posted by PRAVEEN KUMAR TYAGI Chalo tumhe aaj wo ghazal sunata hun mai jisko roj odta bichata hun jism bech kr Roti ki keemat chukati bahne.n or murda sapne liye budhi maou.n ke aansu sadak pr joothan batorte hamare nanhe haath Ab tum samjhe rat bhar mai kya gungunata hun Tumhare tai suit se udti french perfume ki khushboo or mulk ke waste khet me jhulsta mera boodha Baap Tumhe shayd maloom nahi mai Jism ki ...
Updated 12th May 2012 at 02:43 PM by PRAVEEN KUMAR TYAGI
Aahista Kadan Rakhna ..Book of Urdu poetry ,Published by Srijan Infomedia Ltd . Rajpur Road ..Dehradun India* Authored by Praveen Kumar Tyagi ..URDU version is in press.
Originally Posted by PRAVEEN KUMAR TYAGI Shuao,n si ghatao.n si..Khusboo se sani lipti Utar aati thi mere harfo.n ke chehre par Bahot najuk si ladki thi …bahot najuk si ladki thi Dame guftar hotho.n se risti hui bate.n ke jaise Yaqoot ki sil cheer ke jharna koi foote Subaktar fool ki patti se Wo chand ka tukda Aos ka lams bhi jisko jhuka deta tha dharti par *Muhhabbat ke kai jugnu...Chamkti aank me bhar kar *Shararat dhar ke palko.n p ..Mujhe kahti thi wo aksar Suno …. Ak bat ...
Originally Posted by PRAVEEN KUMAR TYAGI tumhe yeh dard likhna hai tumhara bhool jana bhi tumhara yaad aana hai chalo aisa karen jana ..chalo aisa karen jana...... bhulane ki kasam ko ab naya ak naam de len hum muje shikwa n ho koi tumhe bhi ranj n hoga badlate waqt aur halaat ko iljam de len hum jahar ki ak pudia tum bache khwabon ko de dena jahar ki ak pudia main bache ...