'Maa'
by
, 7th September 2012 at 11:58 PM (1397 Views)
Today I am going to publish my very first poetry on our blog and dedicate this poem to my mother. I intended to post this a few days back on mothers day but I was in my birth place Gujrat with my mother so I am doing it now. Enjoy
Maa tu meri hasti mei jhalakti hai
Maa tu meri rooh mei basti hai
Jahan maa hai woh veerana bahaar hai
Maa ki khushboo mei phoolon ki mehkaar hai
Ger maa kay damm se veerana bahaar hai
Tou socho des ki maain kahan hain
Mere des mei jo figaar-o-fishaar hai
Bhook nang aur zulm ka laga bazaar hai
Jis khittay mei aag kay sholay barastay hain
Tou socho uss khittay ki maa kidher hai
Ager tum khoi maa ko dhoond lao kahin se
Ager tum roothi maa ko mana lo abhi se
Maa tou jannat ha zameen per Khuda ki
Phir kyun yeh hum ko nazar nahi aati
Kya yeh sab betay maa ko pyar nahi kertay
Kya inke dil mei maa nahi rehti
Maa tou Khuda ki rehmaton ka roop hai
Maa mohabbat hai, Mohabbat Khuda hai
Aey mere des kay naujawano!
Tum tou maa hi ko socho her damm
Keh maa kay damm se yeh arz-e-paak jannat banay
Maa ke damm wadam se jannat mei phool khilain
Tum apni hasti mei basa lo maa ko
Phir jhalak basti ki dikhla do jahan ko
Keh her din hi maa ka din kehlaiy
Her pal iss din ka her dil ko mehkaiy
Aey mere Maula mehka de iss gulistaan ko
Maa ke sadqay aabaad rakh Pakistan ko
Khuda ko aik manain tou hain hum musalmaan
Ho ibadat ager maa ko manain maa